is tarah har ek gunah ka samna karna paDa
is tarah har ik gunāh kā sāmnā karnā paḌā
hashr meñ ḳhud ke kiye par tabsira karnā paḌā
sulh phir apne hī dil se yuuñ hameñ karnī paḌī
faisle ko Tālne kā faisla karnā paḌā
kāmyābī kī ḳhushī meñ chīḳhtā hai ik malāl
soch kar nikle the kyā kuchh aur kyā karnā paḌā
ek muddat se ka.ī chehre the āñkhoñ meñ asiir
āñsuoñ kī shakl meñ sab ko rihā karnā paḌā
jhuuT ke naqqār-ḳhāne meñ balā kā shor hai
sach kī shahnā.ī ko sun kar an-sunā karnā paḌā
aa gayā thā ek baar us kī tilismī bātoñ meñ
zehn ko phir 'umr-bhar dil kā kahā karnā paḌā
jab sabhī patthar ḳhudā hone pe āmāda mile
pattharoñ meñ 'nūr' ḳhud ko aa.ina karnā paḌā
is tarah har ek gunah ka samna karna paDa
hashr mein KHud ke kiye par tabsira karna paDa
sulh phir apne hi dil se yun hamein karni paDi
faisle ko Talne ka faisla karna paDa
kaamyabi ki KHushi mein chiKHta hai ek malal
soch kar nikle the kya kuchh aur kya karna paDa
ek muddat se kai chehre the aankhon mein asir
aansuon ki shakl mein sab ko riha karna paDa
jhuT ke naqqar-KHane mein bala ka shor hai
sach ki shahnai ko sun kar an-suna karna paDa
aa gaya tha ek bar us ki tilismi baaton mein
zehn ko phir 'umr-bhar dil ka kaha karna paDa
jab sabhi patthar KHuda hone pe aamada mile
pattharon mein 'nur' KHud ko aaina karna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.