is tarah jaan-e-jahan hosh ganwata hai koi
is tarah jān-e-jahāñ hosh gañvātā hai koī
pūchhtā maiñ huuñ mirā naam batātā hai koī
dard kuchh dil se mire sar kī taraf aa niklā
yā'nī qasmeñ to mire sar kī bhī khātā hai koī
huuñ to āzād magar paañv meñ zanjīr bhī hai
chhoḌtā bhī nahīñ par chhoḌ ke jaatā hai koī
ajnabī shahr meñ koī to shanāsā hai mirā
bhiiḌ meñ mere liye haath hilātā hai koī
mere zadgān meñ koī to hai āseb-zada
mujh se milne ko mire baa'd bhī aatā hai koī
aisī rusvā.ī mire naam bhī aa.ī 'hammād'
mere hī she'r mujhe paḌh ke sunātā hai koī
is tarah jaan-e-jahan hosh ganwata hai koi
puchhta main hun mera nam batata hai koi
dard kuchh dil se mere sar ki taraf aa nikla
ya'ni qasmen to mere sar ki bhi khata hai koi
hun to aazad magar panw mein zanjir bhi hai
chhoDta bhi nahin par chhoD ke jata hai koi
ajnabi shahr mein koi to shanasa hai mera
bhiD mein mere liye hath hilata hai koi
mere zadgan mein koi to hai aaseb-zada
mujh se milne ko mere ba'd bhi aata hai koi
aisi ruswai mere nam bhi aai 'hammad'
mere hi she'r mujhe paDh ke sunata hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.