is tarah ka KHwab maine aaj tak dekha na tha
is tarah kā ḳhvāb maiñ ne aaj tak dekhā na thā
apnī hī āvāz par ḳhud is qadar chauñkā na thā
sab ke sab tārīkiyoñ ke ġhaar meñ gum ho ga.e
maiñ ne jab palkeñ uThā.īñ ek hī chehra na thā
saḳht-tar dushvāriyāñ haa.il thiiñ merī raah meñ
duur tak sahrā hī sahrā thā kahīñ saaya na thā
fikr ke gahre khañDar meñ zehn merā Duub kar
is qadar ubhregā mujh ko is kā andāza na thā
ḳhāna-e-dil meñ ye ab kis kā baserā ho gayā
pahle is vīrān ghar meñ koī bhī rahtā na thā
vo miTānā chāhtā thā ḳhvāhishoñ kī pyaas jab
narm-o-nāzuk jism meñ tab josh kā dariyā na thā
ye mohabbat kī kahānī un dinoñ kī baat hai
yaar ke gesū meñ jab 'parvez' ḳham aayā na thā
is tarah ka KHwab main ne aaj tak dekha na tha
apni hi aawaz par KHud is qadar chaunka na tha
sab ke sab tarikiyon ke ghaar mein gum ho gae
main ne jab palken uThain ek hi chehra na tha
saKHt-tar dushwariyan hail thin meri rah mein
dur tak sahra hi sahra tha kahin saya na tha
fikr ke gahre khanDar mein zehn mera Dub kar
is qadar ubhrega mujh ko is ka andaza na tha
KHana-e-dil mein ye ab kis ka basera ho gaya
pahle is viran ghar mein koi bhi rahta na tha
wo miTana chahta tha KHwahishon ki pyas jab
narm-o-nazuk jism mein tab josh ka dariya na tha
ye mohabbat ki kahani un dinon ki baat hai
yar ke gesu mein jab 'parwez' KHam aaya na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.