is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de
is tarah kī bhī ka.ī mo.ajiz-numā amsāl de
chaar din kī zindagī meñ hijr ke sau saal de
aa mirī āġhosh meñ be-sāḳhta sar rakh ke ro
aa mire kashkol meñ saarā samundar Daal de
shaam kī dahlīz par girte hue ḳhurshīd ko
tū karishma-sāz hai to kal sahar tak Taal de
zindagī meñ ik izāfī bojh huuñ tere liye
ho sake to maut ke raste meñ mujh ko Daal de
aa mirī mayyat ke sirhāne koī hangāma kar
jag dhamāleñ Dāltā hai tū zarā sī taal de
zard pattoñ ke dahan se ek luqma chhīn kar
ai mire rāziq mirī ġhurbat ke aage Daal de
raat ke pichhle pahar ik martaba mere liye
vasl kī māñgī duā phir badduā sau saal de
maiñ sar-e-taslīm ḳham kartā huuñ lekin ye nahīñ
vo bashar ko maar ke kutte ke aage Daal de
is tarah ki bhi kai moajiz-numa amsal de
chaar din ki zindagi mein hijr ke sau sal de
aa meri aaghosh mein be-saKHta sar rakh ke ro
aa mere kashkol mein sara samundar Dal de
sham ki dahliz par girte hue KHurshid ko
tu karishma-saz hai to kal sahar tak Tal de
zindagi mein ek izafi bojh hun tere liye
ho sake to maut ke raste mein mujh ko Dal de
aa meri mayyat ke sirhane koi hangama kar
jag dhamalen Dalta hai tu zara si tal de
zard patton ke dahan se ek luqma chhin kar
ai mere raaziq meri ghurbat ke aage Dal de
raat ke pichhle pahar ek martaba mere liye
wasl ki mangi dua phir baddua sau sal de
main sar-e-taslim KHam karta hun lekin ye nahin
wo bashar ko mar ke kutte ke aage Dal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.