is tarah ki guftugu se hum naya kya paenge
is tarah kī guftugū se ham nayā kyā pā.eñge
ik suuī kī nok pe kitne farishte ā.eñge
ham to samjhe the ki paanī jhuum ke barsā.eñge
kyā ḳhabar thī ab ke bādal aag le kar ā.eñge
ik na.ī tārīḳh likhne kī zarūrat hai hameñ
ham ye maazī ke fasāne kab talak dohrā.eñge
un kī manshā hī nahīñ amn-o-amāñ ho desh meñ
ye siyāsī log haiñ bas rā.ita phailā.eñge
jā.eñge apne masā.il le ke kis ke sāmne
kaam karne vaale hī jab kaam ko aTkā.eñge
ye to sochā bhī na hogā bābā-e-ā.īn ne
'adl o ā.īnī idāre is tarah mīmiyā.eñge
bas yahī anjām honā hai hamārā 'ishq meñ
yā tumheñ hāsil kareñge yā ki ham mar jā.eñge
is tarah ki guftugu se hum naya kya paenge
ek sui ki nok pe kitne farishte aaenge
hum to samjhe the ki pani jhum ke barsaenge
kya KHabar thi ab ke baadal aag le kar aaenge
ek nai tariKH likhne ki zarurat hai hamein
hum ye mazi ke fasane kab talak dohraenge
un ki mansha hi nahin amn-o-aman ho desh mein
ye siyasi log hain bas raita phailaenge
jaenge apne masail le ke kis ke samne
kaam karne wale hi jab kaam ko aTkaenge
ye to socha bhi na hoga baba-e-ain ne
'adl o aaini idare is tarah mimiyaenge
bas yahi anjam hona hai hamara 'ishq mein
ya tumhein hasil karenge ya ki hum mar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.