is tarah lagta hai wo aks-e-badan pani mein
is tarah lagtā hai vo aks-e-badan paanī meñ
jaise hañste hoñ gulāboñ ke chaman paanī meñ
chāñd ne chhoḌ diyā jhiil kā āñgan jab se
ab parinde kā nahīñ lagtā hai man paanī meñ
phir huā yuuñ ki libās apnā kināre rakh ke
kar ga.ī jast hasīñ shauq kiran paanī meñ
vo tapish hai ki piyeñ kuchh bhī to pyaas aur baḌhe
aag aisī hai ki jalte haiñ dahan paanī meñ
zindagī tū mujhe kal shaam bahut yaad aa.ī
dekh kar Dūbte sūraj kī thakan paanī meñ
zehn-e-shā’ir meñ machalte hue afkār-o-ḳhayāl
sat.h-e-dariyā pe paḌe jaise shikan paanī meñ
dekhiye jā ke kahāñ Thahre ye sail-e-ranjish
Duub jaa.e na kahīñ saarā vatan paanī meñ
mujh se dekhā nahīñ jaatā kabhī dekhūñ jo 'bashīr'
aatī jaatī huī lahroñ kā milan paanī meñ
is tarah lagta hai wo aks-e-badan pani mein
jaise hanste hon gulabon ke chaman pani mein
chand ne chhoD diya jhil ka aangan jab se
ab parinde ka nahin lagta hai man pani mein
phir hua yun ki libas apna kinare rakh ke
kar gai jast hasin shauq kiran pani mein
wo tapish hai ki piyen kuchh bhi to pyas aur baDhe
aag aisi hai ki jalte hain dahan pani mein
zindagi tu mujhe kal sham bahut yaad aai
dekh kar Dubte suraj ki thakan pani mein
zehn-e-sha’ir mein machalte hue afkar-o-KHayal
sath-e-dariya pe paDe jaise shikan pani mein
dekhiye ja ke kahan Thahre ye sail-e-ranjish
Dub jae na kahin sara watan pani mein
mujh se dekha nahin jata kabhi dekhun jo 'bashir'
aati jati hui lahron ka milan pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.