is tarah mat apni tanhai ko zae kijiye
is tarah mat apnī tanhā.ī ko zaa.e' kījiye
apne 'āshiq ko zarā ghar par bulāyā kījiye
chhū ke kar diije hameñ ġhā.eb jahān-e-ḳhāk se
jo haqīqat hai use ik din kināya kījiye
qatl kiije shauq se ham ko sar-e-bāzār aap
aur hamārī nā'sh galiyoñ meñ phirāyā kījiye
aap kī dahlīz par baiThā huā raahī huuñ maiñ
ik zarā ghar se nikaliye aur saayā kījiye
lafz aur iz.hār ke saare vasā.il aap ke
ab hamāre paas jo kuchh hai parāyā kījiye
aap ke aane se ham aate haiñ apne aap meñ
ik karam kiije hamāre paas aayā kījiye
dhuup kī shiddat meñ saarā husn kumhlā jā.egā
kholiye zulfoñ ko aur chehre pe saayā kījiye
is tarah mat apni tanhai ko zae' kijiye
apne 'ashiq ko zara ghar par bulaya kijiye
chhu ke kar dije hamein ghaeb jahan-e-KHak se
jo haqiqat hai use ek din kinaya kijiye
qatl kije shauq se hum ko sar-e-bazar aap
aur hamari na'sh galiyon mein phiraya kijiye
aap ki dahliz par baiTha hua rahi hun main
ek zara ghar se nikaliye aur saya kijiye
lafz aur izhaar ke sare wasail aap ke
ab hamare pas jo kuchh hai paraya kijiye
aap ke aane se hum aate hain apne aap mein
ek karam kije hamare pas aaya kijiye
dhup ki shiddat mein sara husn kumhla jaega
kholiye zulfon ko aur chehre pe saya kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.