is tarah meri wafaon ka sila de mujhko
is tarah merī vafāoñ kā sila de mujh ko
har tamanna kī jagah zaḳhm nayā de mujh ko
mujh ko jo baat bhī kahnī thī sar-e-ām kahī
marzī-e-vaqt hai jo chāhe sazā de mujh ko
maiñ ki har-chand koī gauhar-e-nāyāb nahīñ
itnā sastā bhī nahīñ huuñ ki luTā de mujh ko
husn-e-kirdār kā mere use iqrār to hai
ye alag baat vo nazroñ se girā de mujh ko
maiñ bahut duur bahut duur nikal aaya huuñ
mere maazī se na ai dost sadā de mujh ko
maiñ sar-e-rāh-e-vafā ek laraztā sā diyā
terī marzī hai jalā de ki bujhā de mujh ko
maiñ tire ahd kī āvāz huuñ pahchān bhī huuñ
qadr kar merī na is tarah gañvā de mujh ko
yā mujhe quvvat-e-tasḳhīr-e-do-ālam ho atā
varna māmūra-e-hastī se miTā de mujh ko
ḳhas-o-ḳhāshāk kī mānind paḌā rahne do
ḳhud bikhar jā.ūñgā tū yuuñ na uḌā de mujh ko
vaqt kā faisla ab tū bhī gavārā kar le
maiñ tujhe bhuul gayā tū bhī bhulā de mujh ko
aaj kis haal meñ yārān-e-vatan haiñ 'vāsil'
ai nasīm-e-saharī kuchh to batā de mujh ko
is tarah meri wafaon ka sila de mujh ko
har tamanna ki jagah zaKHm naya de mujh ko
mujh ko jo baat bhi kahni thi sar-e-am kahi
marzi-e-waqt hai jo chahe saza de mujh ko
main ki har-chand koi gauhar-e-nayab nahin
itna sasta bhi nahin hun ki luTa de mujh ko
husn-e-kirdar ka mere use iqrar to hai
ye alag baat wo nazron se gira de mujh ko
main bahut dur bahut dur nikal aaya hun
mere mazi se na ai dost sada de mujh ko
main sar-e-rah-e-wafa ek larazta sa diya
teri marzi hai jala de ki bujha de mujh ko
main tere ahd ki aawaz hun pahchan bhi hun
qadr kar meri na is tarah ganwa de mujh ko
ya mujhe quwwat-e-tasKHir-e-do-alam ho ata
warna mamura-e-hasti se miTa de mujh ko
KHas-o-KHashak ki manind paDa rahne do
KHud bikhar jaunga tu yun na uDa de mujh ko
waqt ka faisla ab tu bhi gawara kar le
main tujhe bhul gaya tu bhi bhula de mujh ko
aaj kis haal mein yaran-e-watan hain 'wasil'
ai nasim-e-sahari kuchh to bata de mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.