is tarah mir ka diwan mujhe khinchta hai
is tarah miir kā dīvān mujhe khīñchtā hai
go koī sāhib-e-'irfān mujhe khīñchtā hai
jis taraf kuchh bhī nahīñ miltā ba-juz rusvā.ī
us taraf kyoñ dil-e-nādān mujhe khīñchtā hai
roz ḳhvāboñ meñ kisī sāhil-e-dariyā kī taraf
ek bhūlā huā armān mujhe khīñchtā hai
daf'atan dil se tirī yaad lipaT jaatī hai
aur ik gosha-e-vīrān mujhe khīñchtā hai
ab to ye haal hai thak kar maiñ kahīñ chhāoñ meñ
baiTh jaatā huuñ to sāmān mujhe khīñchtā hai
kuchh bhī mā'lūm nahīñ is ke sivā ab mujh ko
sirf ik jāda-e-anjān mujhe khīñchtā hai
chaltā hai maut kā saaya bhī mire saath 'asar'
aur bachne kā bhī imkān mujhe khīñchtā hai
is tarah mir ka diwan mujhe khinchta hai
go koi sahib-e-'irfan mujhe khinchta hai
jis taraf kuchh bhi nahin milta ba-juz ruswai
us taraf kyon dil-e-nadan mujhe khinchta hai
roz KHwabon mein kisi sahil-e-dariya ki taraf
ek bhula hua arman mujhe khinchta hai
daf'atan dil se teri yaad lipaT jati hai
aur ek gosha-e-viran mujhe khinchta hai
ab to ye haal hai thak kar main kahin chhaon mein
baiTh jata hun to saman mujhe khinchta hai
kuchh bhi ma'lum nahin is ke siwa ab mujh ko
sirf ek jada-e-anjaan mujhe khinchta hai
chalta hai maut ka saya bhi mere sath 'asar'
aur bachne ka bhi imkan mujhe khinchta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.