is tarah TuT ke rahon mein na bikhra hota
is tarah TuuT ke rāhoñ meñ na bikhrā hotā
maiñ ne is dil ko hifāzat se jo rakkhā hotā
Duub jaane meñ qabāhat to nahīñ thī lekin
koī dariyā to mirī soch se gahrā hotā
dasht meñ jaate hī tum lauT ke vāpas aa.e
kam se kam ḳhaak ko uḌte hue dekhā hotā
pā-ba-zanjīr kahāñ hotī shikasta-pā.ī
rāstoñ ne jo mirā saath nibhāyā hotā
jaane kyā soch ke chup huuñ maiñ vagarna zālim
dekhte sab sar-e-maqtal vo tamāsha hotā
gar javāñ rahtā mire azm kā sūraj 'resham'
merī rāhoñ meñ bhalā kyoñ ye añdherā hotā
is tarah TuT ke rahon mein na bikhra hota
main ne is dil ko hifazat se jo rakkha hota
Dub jaane mein qabahat to nahin thi lekin
koi dariya to meri soch se gahra hota
dasht mein jate hi tum lauT ke wapas aae
kam se kam KHak ko uDte hue dekha hota
pa-ba-zanjir kahan hoti shikasta-pai
raston ne jo mera sath nibhaya hota
jaane kya soch ke chup hun main wagarna zalim
dekhte sab sar-e-maqtal wo tamasha hota
gar jawan rahta mere azm ka suraj 'resham'
meri rahon mein bhala kyon ye andhera hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.