is tarh tere hijr ka gham toD gaya hai
is tarh tire hijr kā ġham toḌ gayā hai
jaise kisī bekas ko sitam toḌ gayā hai
tabdīl na ho pā.egā ab faisla us kā
munsif kī tarah vo bhī qalam toḌ gayā hai
shāyad hī kisī aur pe ab hogā bharosa
ik shaḳhs mohabbat kā bharam toḌ gayā hai
ik dhun pe thā raqsāñ mirī sāñsoñ kā tasalsul
par koī achānak se rythm toḌ gayā hai
is tarh tere hijr ka gham toD gaya hai
jaise kisi bekas ko sitam toD gaya hai
tabdil na ho paega ab faisla us ka
munsif ki tarah wo bhi qalam toD gaya hai
shayad hi kisi aur pe ab hoga bharosa
ek shaKHs mohabbat ka bharam toD gaya hai
ek dhun pe tha raqsan meri sanson ka tasalsul
par koi achanak se rythm toD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.