is tariqe se hi apna to bana lega mujhe
is tarīqe se hī apnā to banā legā mujhe
vo agar ḳhud ko gañvā de to kamā legā mujhe
ek taale kī ka.ī chābiyāñ haiñ paas us ke
vo kisī tarah se bhī yaar manā legā mujhe
uñgliyoñ se maiñ kiran ban ke nikal jā.ūñgā
tū samajhtā hai ki muTThī meñ dabā legā mujhe
laakh maiñ gaatā rahūñ giit anā ke apnī
vo magar ek ishāre pe bulā legā mujhe
us ne bhī sab kī tarah daad hī dī sheroñ par
maiñ ne sochā thā ki siine se lagā legā mujhe
is tariqe se hi apna to bana lega mujhe
wo agar KHud ko ganwa de to kama lega mujhe
ek tale ki kai chabiyan hain pas us ke
wo kisi tarah se bhi yar mana lega mujhe
ungliyon se main kiran ban ke nikal jaunga
tu samajhta hai ki muTThi mein daba lega mujhe
lakh main gata rahun git ana ke apni
wo magar ek ishaare pe bula lega mujhe
us ne bhi sab ki tarah dad hi di sheron par
main ne socha tha ki sine se laga lega mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.