is tark-e-talluq ka ajab mujh par asar tha
is tark-e-ta.alluq kā ajab mujh par asar thā
ḳhud hī vo jalā Daalā jo yādoñ kā shajar thā
sahrā meñ gulāboñ ko ugāne kī tamannā
ye ḳhvāb anokhā sā mire pesh-e-nazar thā
vo lauT ke ik din jo pashemāñ chalā aayā
mere hī vo jazboñ kī sadāqat kā sahar thā
vo merī durīdoñ meñ bhī maujūd rahā hai
maiñ kaise bhulā detī nahīñ us se mafar thā
baaqī rahā kāñToñ meñ lahū hone ke bā-vasf
ḳhuddārī kā ehsās mirā kaisā niDar thā
laa.eq hī na thā koī makīñ dil meñ jo rahtā
varna ye kushāda to bahut rahne ko ghar thā
jin kirchiyoñ se merā badan aaj lahū hai
vo TuuT ke bikhrā mirā hī shīsh-nagar thā
dil dhaḌkā qadam ThiThke palaT kar huā mālūm
jis ne ye sadā dī thī tirā rāhguzar thā
ik andhā irāda liye jaatā hai kisī samt
jab Thahre to dekhā na safar thā na hazar thā
is lazzat-e-taḳhlīq kī kāvish meñ phañsā jo
niklā na kabhī us se ye aisā hī bhañvar thā
manzil na thī koī na hī rasta nazar aatā
ye sab usī tafrīq-o-ta.assub kā samar thā
is tark-e-talluq ka ajab mujh par asar tha
KHud hi wo jala Dala jo yaadon ka shajar tha
sahra mein gulabon ko ugane ki tamanna
ye KHwab anokha sa mere pesh-e-nazar tha
wo lauT ke ek din jo pasheman chala aaya
mere hi wo jazbon ki sadaqat ka sahar tha
wo meri duridon mein bhi maujud raha hai
main kaise bhula deti nahin us se mafar tha
baqi raha kanTon mein lahu hone ke ba-wasf
KHuddari ka ehsas mera kaisa niDar tha
laeq hi na tha koi makin dil mein jo rahta
warna ye kushada to bahut rahne ko ghar tha
jin kirchiyon se mera badan aaj lahu hai
wo TuT ke bikhra mera hi shish-nagar tha
dil dhaDka qadam ThiThke palaT kar hua malum
jis ne ye sada di thi tera rahguzar tha
ek andha irada liye jata hai kisi samt
jab Thahre to dekha na safar tha na hazar tha
is lazzat-e-taKHliq ki kawish mein phansa jo
nikla na kabhi us se ye aisa hi bhanwar tha
manzil na thi koi na hi rasta nazar aata
ye sab usi tafriq-o-tassub ka samar tha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 303)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.