is uqda-e-la-harf ko hal kar liya jae
is 'uqda-e-lā-harf ko hal kar liyā jaa.e
ḳhāmoshī ko suljhā ke ġhazal kar liyā jaa.e
us yūsuf-e-daurāñ se qarābat na rakheñ ham
tajvīz-e-azīzāñ pe 'amal kar liyā jaa.e
aisī bhī mohabbat nahīñ us shaḳhs se ham ko
jis ke liye ā'sāb ko shal kar liyā jaa.e
mujh se tirī chūḌī kī khanak pūchh rahī hai
daryāft koī pyaar kā pal kar liyā jaa.e
is 'ahd-e-falākat meñ yahī baat bahut hai
tā'mīr koī ḳhvāb-mahal kar liyā jaa.e
vaise to mujhe shauq nahīñ kār-e-junūñ kā
tū pyaar se kahtī hai to chal kar liyā jaa.e
har mas.ale par baat hī karte na raheñ ham
behtar hai koī mas.ala hal kar liyā jaa.e
dil ko tirī duurī se 'ajab Thes lagī thī
badla tire hoñToñ ko kuchal kar liyā jaa.e
be-'ishq-e-butāñ 'umr guzārī nahīñ jaatī
achchhā hai ki paidā ye ḳhalal kar liyā jaa.e
is 'uqda-e-la-harf ko hal kar liya jae
KHamoshi ko suljha ke ghazal kar liya jae
us yusuf-e-dauran se qarabat na rakhen hum
tajwiz-e-azizan pe 'amal kar liya jae
aisi bhi mohabbat nahin us shaKHs se hum ko
jis ke liye aa'sab ko shal kar liya jae
mujh se teri chuDi ki khanak puchh rahi hai
daryaft koi pyar ka pal kar liya jae
is 'ahd-e-falakat mein yahi baat bahut hai
ta'mir koi KHwab-mahal kar liya jae
waise to mujhe shauq nahin kar-e-junun ka
tu pyar se kahti hai to chal kar liya jae
har masale par baat hi karte na rahen hum
behtar hai koi masala hal kar liya jae
dil ko teri duri se 'ajab Thes lagi thi
badla tere honTon ko kuchal kar liya jae
be-'ishq-e-butan 'umr guzari nahin jati
achchha hai ki paida ye KHalal kar liya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.