Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is zat ke hisar se niklunga ek roz

Rana Mohammad Yusuf

is zat ke hisar se niklunga ek roz

Rana Mohammad Yusuf

MORE BYRana Mohammad Yusuf

    is zaat ke hisār se niklūñgā ek roz

    patthar haTā ke ġhaar se niklūñgā ek roz

    andar ik sadā mujhe intizār hai

    bāhar ke intishār se niklūñgā ek roz

    shāḳhoñ ke phailne se mirā qad nahīñ baḌhā

    malbūs-e-barg-o-bār se niklūñgā ek roz

    maiñ bel ban ke tere darīche tak ā.uñgā

    peḌoñ is qatār se niklūñgā ek roz

    ye fāsle to terī kashish kam na kar sake

    ab to tire madār se niklūñgā ek roz

    ik aks huuñ aur āñsūoñ ke darmiyān huuñ

    sho.ala huuñ ābshār se niklūñgā ek roz

    us sang-o-ḳhisht se miirī paivastagī hai aur

    niklā bhī to vaqār se niklūñgā ek roz

    ik raushnī taḳht mujhe lene aa.egā

    zindān-e-tang-o-tār se niklūñgā ek roz

    is zat ke hisar se niklunga ek roz

    patthar haTa ke ghaar se niklunga ek roz

    andar ki ek sada ka mujhe intizar hai

    bahar ke intishaar se niklunga ek roz

    shaKHon ke phailne se mera qad nahin baDha

    malbus-e-barg-o-bar se niklunga ek roz

    main bel ban ke tere dariche tak aaunga

    peDon ki is qatar se niklunga ek roz

    ye fasle to teri kashish kam na kar sake

    ab to tere madar se niklunga ek roz

    ek aks hun aur aansuon ke darmiyan hun

    shoala hun aabshaar se niklunga ek roz

    us sang-o-KHisht se meri paiwastagi hai aur

    nikla bhi to waqar se niklunga ek roz

    ek raushni ka taKHt mujhe lene aaega

    zindan-e-tang-o-tar se niklunga ek roz

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now