is zamin par us ka maskan us ka ghar lagta na tha
is zamin par us ka maskan us ka ghar lagta na tha
Mohammad Naim Jawed Naim
MORE BYMohammad Naim Jawed Naim
is zamīñ par us kā maskan us kā ghar lagtā na thā
is qadar vo ḳhūbsūrat thā bashar lagtā na thā
hijr kā maqtal ho yā suulī visāl-e-yār kī
ik zamāna thā kisī se koī Dar lagtā na thā
jis qadar maiñ thak gayā thā us ko tai karte hue
dekhne meñ is qadar lambā safar lagtā na thā
duur mujh se kar diyā kitnā anāoñ ne use
mere shānoñ par lagā merā hī sar lagtā na thā
kar rahā thā jis tarah sachchī mohabbat kī talāsh
aane vaale mausamoñ se be-ḳhabar lagtā na thā
vo to us ne chhū liyā ik din mohabbat se mujhe
varna mujh par phuul khilte the samar lagtā na thā
jis qadar badnām thā shahr-e-vafā meñ vo 'na.īm'
bevafā pahlī nazar meñ us qadar lagtā na thā
is zamin par us ka maskan us ka ghar lagta na tha
is qadar wo KHubsurat tha bashar lagta na tha
hijr ka maqtal ho ya suli visal-e-yar ki
ek zamana tha kisi se koi Dar lagta na tha
jis qadar main thak gaya tha us ko tai karte hue
dekhne mein is qadar lamba safar lagta na tha
dur mujh se kar diya kitna anaon ne use
mere shanon par laga mera hi sar lagta na tha
kar raha tha jis tarah sachchi mohabbat ki talash
aane wale mausamon se be-KHabar lagta na tha
wo to us ne chhu liya ek din mohabbat se mujhe
warna mujh par phul khilte the samar lagta na tha
jis qadar badnam tha shahr-e-wafa mein wo 'naim'
bewafa pahli nazar mein us qadar lagta na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.