Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is zindagi mein kal nahin ek lamha bhi janab

Shahabullah Shahab

is zindagi mein kal nahin ek lamha bhi janab

Shahabullah Shahab

MORE BYShahabullah Shahab

    is zindagī meñ kal nahīñ ik lamha bhī janāb

    āñkheñ abhī khulī na thiiñ ruḳhsat huā shabāb

    ik samt dasht-e-be-karāñ ik samt phal baaġh

    yā'nī ki marg-o-zīst meñ karnā thā intiḳhāb

    dariyā-e-dil meñ kar gayā tūfān bapā

    dekhā thā maiñ ne ek din us chhat pe māhtāb

    koī paḌhā sakā na jo us ne paḌhā diyā

    ho gayā thā mujh pe jo vo chehra-e-kitāb

    ham ko Darā na shaiḳh maidān-e-hashr se

    aisā to roz dete haiñ duniyā meñ hisāb

    dā'vā hai merā ḳhaak vo ho jaa.e misl-e-tūr

    jo aañkh bhar ke dekh le kis meñ hai itnī taab

    is zindagi mein kal nahin ek lamha bhi janab

    aankhen abhi khuli na thin ruKHsat hua shabab

    ek samt dasht-e-be-karan ek samt phal ka bagh

    ya'ni ki marg-o-zist mein karna tha intiKHab

    dariya-e-dil mein kar gaya tufan sa bapa

    dekha tha main ne ek din us chhat pe mahtab

    koi paDha saka na jo us ne paDha diya

    wa ho gaya tha mujh pe jo wo chehra-e-kitab

    hum ko Dara na shaiKH tu maidan-e-hashr se

    aisa to roz dete hain duniya hi mein hisab

    da'wa hai mera KHak wo ho jae misl-e-tur

    jo aankh bhar ke dekh le kis mein hai itni tab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now