is zindagi mein kuchh to tab-o-tab chahiye
is zindagī meñ kuchh to tab-o-tāb chāhiye
āñkhoñ ko roz ek nayā ḳhvāb chāhiye
is shahr-e-be-misāl kī galiyoñ ke saath saath
sar par ridā-e-anjum-o-mahtāb chāhiye
ḳhāmoshiyoñ ko izn-e-takallum jahāñ mile
vo bazm aur vo halqa-e-ahbāb chāhiye
lamha-ba-lamha lagte raheñ zaḳhm be-shumār
halqa-ba-halqa ik nayā girdāb chāhiye
dil meñ kisī ke ġham kī kamāneñ tanī raheñ
chehra magar ba-hālat-e-shādāb chāhiye
ai yād-e-yār abr kī sūrat kabhī baras
dariyā-e-dil ko dard kā sailāb chāhiye
gahre samundaroñ ke safar se patā chalā
jiinā ba-shakl-e-mauj tah-e-āb chāhiye
us shahryār-e-husn se kam-kam karo ḳhitāb
'ashfāq' ishq meñ had-e-ādāb chāhiye
is zindagi mein kuchh to tab-o-tab chahiye
aankhon ko roz ek naya KHwab chahiye
is shahr-e-be-misal ki galiyon ke sath sath
sar par rida-e-anjum-o-mahtab chahiye
KHamoshiyon ko izn-e-takallum jahan mile
wo bazm aur wo halqa-e-ahbab chahiye
lamha-ba-lamha lagte rahen zaKHm be-shumar
halqa-ba-halqa ek naya girdab chahiye
dil mein kisi ke gham ki kamanen tani rahen
chehra magar ba-haalat-e-shadab chahiye
ai yaad-e-yar abr ki surat kabhi baras
dariya-e-dil ko dard ka sailab chahiye
gahre samundaron ke safar se pata chala
jina ba-shakl-e-mauj tah-e-ab chahiye
us shahryar-e-husn se kam-kam karo KHitab
'ashfaq' ishq mein had-e-adab chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.