is zulmat-e-shab-ranj ki pahnai sameTe
is zulmat-e-shab-ranj kī pahnā.ī sameTe
jaa.eñ to kahāñ jaa.eñ ye tanhā.ī sameTe
shīrāza-e-hastī hai bikhar jaane kī had par
bāhoñ meñ mujhe ab to vo harjā.ī sameTe
in ashk-fishāñ āñkhoñ kī vus'at kā na pūchho
haiñ ḳhud meñ samundar sī ye gahrā.ī sameTe
juz tere nahīñ apnā koī saare jahāñ meñ
aur tū bhī nahīñ hai ki ye sahrā.ī sameTe
ḳhud ko maiñ tamāsha hue dekhūñ bhalā kab tak
koī to mire saath ye rusvā.ī sameTe
vo shoḳhī-e-guftār kā mūjid bhī sunā hai
aaya hai tirī bazm meñ goyā.ī sameTe
yaksūī se takte haiñ 'navāz' un kī hī jānib
kab dast-e-hunar dekhiye bīnā.ī sameTe
is zulmat-e-shab-ranj ki pahnai sameTe
jaen to kahan jaen ye tanhai sameTe
shiraaza-e-hasti hai bikhar jaane ki had par
bahon mein mujhe ab to wo harjai sameTe
in ashk-fishan aankhon ki wus'at ka na puchho
hain KHud mein samundar si ye gahrai sameTe
juz tere nahin apna koi sare jahan mein
aur tu bhi nahin hai ki ye sahrai sameTe
KHud ko main tamasha hue dekhun bhala kab tak
koi to mere sath ye ruswai sameTe
wo shoKHi-e-guftar ka mujid bhi suna hai
aaya hai teri bazm mein goyai sameTe
yaksui se takte hain 'nawaz' un ki hi jaanib
kab dast-e-hunar dekhiye binai sameTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.