ise bhi rasm ka hissa bataya jata hai
ise bhī rasm kā hissa batāyā jaatā hai
hameñ ghasīT ke bāzār laayā jaatā hai
to kyā ba'īd ki ham surḳh-rū bhī ho jaa.eñ
hamārā zarf agar āzmāyā jaatā hai
guzishta 'ahd meñ ham shahr se nikāle ga.e
na-jāne ab ke hameñ kyā sunāyā jaatā hai
ab aise haal meñ kyā qahqahoñ kī farmā.ish
yahī bahut hai agar muskurāyā jaatā hai
tumheñ to loriyāñ shāyad sunā.ī jaatī hoñ
hameñ to thapkiyāñ de kar sulāyā jaatā hai
isī liye to mujhe raushnī pasand nahīñ
jahāñ bhī jā.ūñ mire saath saayā jaatā hai
ise bhi rasm ka hissa bataya jata hai
hamein ghasiT ke bazar laya jata hai
to kya ba'id ki hum surKH-ru bhi ho jaen
hamara zarf agar aazmaya jata hai
guzishta 'ahd mein hum shahr se nikale gae
na-jaane ab ke hamein kya sunaya jata hai
ab aise haal mein kya qahqahon ki farmaish
yahi bahut hai agar muskuraya jata hai
tumhein to loriyan shayad sunai jati hon
hamein to thapkiyan de kar sulaya jata hai
isi liye to mujhe raushni pasand nahin
jahan bhi jaun mere sath saya jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.