ise guzar magar is pe eatibar na kar
ise guzār magar is pe e.atibār na kar
hai umr faanī ise vaj.h-e-iftiḳhār na kar
mire suḳhan se parinde kalām karte haiñ
tū ḳhāmushī ko mirī bebasī shumār na kar
maiñ apnī khoj ke lambe safar pe niklī huuñ
palaT ke aa.uuñ na shāyad tū intizār na kar
tumhārī yaad se ye zindagī ibārat hai
ridā-e-shauq ko ai dost tār-tār na kar
shumār kar ke ai dil intizār kī ghaḌiyāñ
ye be-qarārī abhī se to iḳhtiyār na kar
zamāna saath na de pā.egā 'sadaf' terā
tū apne dil ke sabhī raaz āshkār na kar
ise guzar magar is pe eatibar na kar
hai umr fani ise wajh-e-iftiKHar na kar
mere suKHan se parinde kalam karte hain
tu KHamushi ko meri bebasi shumar na kar
main apni khoj ke lambe safar pe nikli hun
palaT ke aaun na shayad tu intizar na kar
tumhaari yaad se ye zindagi ibarat hai
rida-e-shauq ko ai dost tar-tar na kar
shumar kar ke ai dil intizar ki ghaDiyan
ye be-qarari abhi se to iKHtiyar na kar
zamana sath na de paega 'sadaf' tera
tu apne dil ke sabhi raaz aashkar na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.