ise kahte hain apni zat mein mastur ho jaana
ise kahte haiñ apnī zaat meñ mastūr ho jaanā
tire nazdīk aanā aur ḳhud se duur ho jaanā
ilāj-e-tishnagī ye hai ki aañsū pī liye jaa.eñ
kisī mai-kash kā jaise be-piye maḳhmūr ho jaanā
hamārā iḳhtiyār-e-be-talab jabr-e-mashiyyat hai
vafā ke silsile meñ fitratan majbūr ho jaanā
karishma hai ye haq-goī kā varna kaise mumkin thā
mire dil kā amīn-e-azmat-e-mansūr ho jaanā
kisī shai kī kabhī fitrat na badlī hai na badlegī
ki jaise naar kā mumkin nahīñ hai nuur ho jaanā
agar duniyā meñ ġham hī dā.imī shai hai to phir yaaro
abas hai chand lamhoñ ke liye masrūr ho jaanā
mizāj-e-āshiqī kā ye ajab andāz dekhā hai
tumhārā muskurānā dard kā kāfūr ho jaanā
ḳhulūs-e-bāhamī darkār hai hastī kī rāhoñ meñ
koī mushkil nahīñ hai zañg dil se duur ho jaanā
ye ehsās-e-nadāmat hai 'sirāj' apne gunāhoñ par
kabhī ranjūr ho jaanā kabhī masrūr ho jaanā
ise kahte hain apni zat mein mastur ho jaana
tere nazdik aana aur KHud se dur ho jaana
ilaj-e-tishnagi ye hai ki aansu pi liye jaen
kisi mai-kash ka jaise be-piye maKHmur ho jaana
hamara iKHtiyar-e-be-talab jabr-e-mashiyyat hai
wafa ke silsile mein fitratan majbur ho jaana
karishma hai ye haq-goi ka warna kaise mumkin tha
mere dil ka amin-e-azmat-e-mansur ho jaana
kisi shai ki kabhi fitrat na badli hai na badlegi
ki jaise nar ka mumkin nahin hai nur ho jaana
agar duniya mein gham hi daimi shai hai to phir yaro
abas hai chand lamhon ke liye masrur ho jaana
mizaj-e-ashiqi ka ye ajab andaz dekha hai
tumhaara muskurana dard ka kafur ho jaana
KHulus-e-bahami darkar hai hasti ki rahon mein
koi mushkil nahin hai zang dil se dur ho jaana
ye ehsas-e-nadamat hai 'siraj' apne gunahon par
kabhi ranjur ho jaana kabhi masrur ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.