ishaaron se agar mujhko bula lete to achchha tha
ishāroñ se agar mujh ko bulā lete to achchhā thā
mujhe bhī hāl-e-dil apnā sunā lete to achchhā thā
mujhe hāsil ḳhushī hotī tumheñ dil kā sukūñ miltā
mire dil se tum apnā dil milā lete to achchhā thā
na hotā inkishāf apnī mohabbat kā zamāne meñ
ye aañsū apnī palkoñ meñ chhupā lete to achchhā thā
mirī betābī-e-dil ko to kam se kam qarār aatā
agar mujh se nazar apnī milā lete to achchhā thā
baġhair us ke ye jiinā ho gayā dushvār ab kitnā
vo rūThā thā hamī us ko manā lete to achchhā thā
gile shikve suno tum bhuul kar saare zamāne ke
hameñ phir se gale apne lagā lete to achchhā thā
ḳhushī se kaT hī jaatī chaar din kī zindagī apnī
magar dil meñ mire ġham ko basā lete to achchhā thā
bhaTakte yuuñ na phirte ham tirī galiyoñ meñ āvāra
buzurgoñ kī agar dil se duā lete to achchhā thā
kise ma.alūm thā 'rāmish' gireñgī bijliyāñ ik din
nasheman ḳhud hī hāthoñ se jalā lete to achchhā thā
ishaaron se agar mujh ko bula lete to achchha tha
mujhe bhi haal-e-dil apna suna lete to achchha tha
mujhe hasil KHushi hoti tumhein dil ka sukun milta
mere dil se tum apna dil mila lete to achchha tha
na hota inkishaf apni mohabbat ka zamane mein
ye aansu apni palkon mein chhupa lete to achchha tha
meri betabi-e-dil ko to kam se kam qarar aata
agar mujh se nazar apni mila lete to achchha tha
baghair us ke ye jina ho gaya dushwar ab kitna
wo ruTha tha hami us ko mana lete to achchha tha
gile shikwe suno tum bhul kar sare zamane ke
hamein phir se gale apne laga lete to achchha tha
KHushi se kaT hi jati chaar din ki zindagi apni
magar dil mein mere gham ko basa lete to achchha tha
bhaTakte yun na phirte hum teri galiyon mein aawara
buzurgon ki agar dil se dua lete to achchha tha
kise malum tha 'ramish' girengi bijliyan ek din
nasheman KHud hi hathon se jala lete to achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.