ishq aaina-e-hairat ke siwa kuchh bhi nahin
ishq ā.īna-e-hairat ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī sūrat tirī sūrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
husn kahte haiñ jise ishq-o-mohabbat vaale
jauhar-e-chashm-e-basīrat ke sivā kuchh bhī nahīñ
daulat-e-qurb ho yā ne.amat-e-irfān-e-jamāl
sirf ik ashk nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
hijr ho vasl ho ai dost adam ho ki vajūd
ik tirī chashm-e-ināyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
terī hastī ki nadāmat ke sivā sab kuchh hai
merī fitrat ki nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ
husn-e-zāhir ho ki ai aarzū husn-e-bātin
zulf-e-idrāk kī nik.hat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ishq aaina-e-hairat ke siwa kuchh bhi nahin
meri surat teri surat ke siwa kuchh bhi nahin
husn kahte hain jise ishq-o-mohabbat wale
jauhar-e-chashm-e-basirat ke siwa kuchh bhi nahin
daulat-e-qurb ho ya neamat-e-irfan-e-jamal
sirf ek ashk nadamat ke siwa kuchh bhi nahin
hijr ho wasl ho ai dost adam ho ki wajud
ek teri chashm-e-inayat ke siwa kuchh bhi nahin
teri hasti ki nadamat ke siwa sab kuchh hai
meri fitrat ki nadamat ke siwa kuchh bhi nahin
husn-e-zahir ho ki ai aarzu husn-e-baatin
zulf-e-idrak ki nikhat ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.