ishq aashiq ko wo pur-kaif ada deta hai
'ishq 'āshiq ko vo pur-kaif adā detā hai
vo jise dekh le dīvāna banā detā hai
is se pahle ki bhareñ zaḳhm purāne mere
ik nayā rog koī dil ko lagā detā hai
bā’d-az-marg pashemān hai merā qātil
ab mujhe jiine kī din-rāt du'ā detā hai
kaisā saada hai ki mujh aise ko nekī kah kar
sub.h-dam roz vo dariyā meñ bahā detā hai
vaqt darmāñ hai to phir kyoñ ye guzartā lamha
shiddat-e-ġham ko mirī aur baḌhā detā hai
maiñ kahānī kā vo kirdār huuñ jis ko darshak
bas theatre se nikalte hī bhulā detā hai
bas isī baat se raushan hai 'navāz' apnī jabīñ
DhūñDhne vāloñ ko kyā kuchh na ḳhudā detā hai
'ishq 'ashiq ko wo pur-kaif ada deta hai
wo jise dekh le diwana bana deta hai
is se pahle ki bharen zaKHm purane mere
ek naya rog koi dil ko laga deta hai
ba’d-az-marg pasheman hai mera qatil
ab mujhe jine ki din-raat du'a deta hai
kaisa sada hai ki mujh aise ko neki kah kar
subh-dam roz wo dariya mein baha deta hai
waqt darman hai to phir kyon ye guzarta lamha
shiddat-e-gham ko meri aur baDha deta hai
main kahani ka wo kirdar hun jis ko darshak
bas theatre se nikalte hi bhula deta hai
bas isi baat se raushan hai 'nawaz' apni jabin
DhunDhne walon ko kya kuchh na KHuda deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.