ishq aazar kar diya jae
ishq āzār kar diyā jaa.e
ġham ko bedār kar diyā jaa.e
kar lo ābād hijr-e-yārāñ ko
ghar kā muḳhtār kar diyā jaa.e
Thokareñ kuchh bhale udhar kī lageñ
ham ko us paar kar diyā jaa.e
koī miTTī ke daam dene lage
saaf inkār kar diyā jaa.e
aao nikleñ junūñ ke saa.e meñ
ghar ko mismār kar diyā jaa.e
aise kuchh rahnumā mayassar hoñ
nek kirdār kar diyā jaa.e
ishq aazar kar diya jae
gham ko bedar kar diya jae
kar lo aabaad hijr-e-yaran ko
ghar ka muKHtar kar diya jae
Thokaren kuchh bhale udhar ki lagen
hum ko us par kar diya jae
koi miTTi ke dam dene lage
saf inkar kar diya jae
aao niklen junun ke sae mein
ghar ko mismar kar diya jae
aise kuchh rahnuma mayassar hon
nek kirdar kar diya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.