ishq abru ka hua zulf-e-rasa se pahle
ishq abru ka hua zulf-e-rasa se pahle
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
ishq abrū kā huā zulf-e-rasā se pahle
kyā tamāshā hai ki marte haiñ qazā se pahle
dast-e-rangīñ kā liyā bosa agar chorī se
haath bandhvā.e mire duzd-e-hinā se pahle
us ne poshāk pinhāne kā ye in.aam diyā
Daal lī dil meñ girah band-e-qabā se pahle
yuuñ na haath aa.egā hargiz kisī jāñbāz kā dil
kījiye kuchh to jafā ishq-e-jafā se pahle
kar diyā dard-e-judā.ī ne yahāñ kaam tamām
ham bulāte hī rahe un ko qazā se pahle
sag-e-jānāñ kā ye ehsān na bhūlūñgā kabhī
haDDiyāñ khā.īñ mirī aa ke humā se pahle
mushkileñ naza.a kī ho jaa.eñ sab āsān abhī
lutf farmā.eñ agar aap qazā se pahle
jazb-e-ulfat kī hai tāsīr ki hāthoñ meñ tire
rach gayā ḳhuun mirā rang-e-hinā se pahle
pīchhe ruḳhsār-e-munavvar se ulaTiyega naqāb
pūchh to lījiye aap apnī hayā se pahle
ġhair koī nahīñ taklīf na do hiile ko
haath kāñdhe pe rakho laġhzish-e-pā se pahle
jab chalā qāfila yāroñ kā sū-e-mulk-e-adam
hamīñ tayyār hue bāñg-e-darā se pahle
umr to us kī bahut tuul hai mujh se lekin
jhuk ga.ī merī kamar zulf-e-dotā se pahle
ḳhizr ko vādī-e-vahshat meñ na rakhnā thā qadam
pūchh lenā thā kisī ābla-pā se pahle
is bharose pe gunah karte haiñ 'vahbī' ham rind
rahm kartī hai atā us kī ḳhatā se pahle
ishq abru ka hua zulf-e-rasa se pahle
kya tamasha hai ki marte hain qaza se pahle
dast-e-rangin ka liya bosa agar chori se
hath bandhwae mere duzd-e-hina se pahle
us ne poshak pinhane ka ye inam diya
Dal li dil mein girah band-e-qaba se pahle
yun na hath aaega hargiz kisi jaanbaz ka dil
kijiye kuchh to jafa ishq-e-jafa se pahle
kar diya dard-e-judai ne yahan kaam tamam
hum bulate hi rahe un ko qaza se pahle
sag-e-jaanan ka ye ehsan na bhulunga kabhi
haDDiyan khain meri aa ke huma se pahle
mushkilen naza ki ho jaen sab aasan abhi
lutf farmaen agar aap qaza se pahle
jazb-e-ulfat ki hai tasir ki hathon mein tere
rach gaya KHun mera rang-e-hina se pahle
pichhe ruKHsar-e-munawwar se ulaTiyega naqab
puchh to lijiye aap apni haya se pahle
ghair koi nahin taklif na do hile ko
hath kandhe pe rakho laghzish-e-pa se pahle
jab chala qafila yaron ka su-e-mulk-e-adam
hamin tayyar hue bang-e-dara se pahle
umr to us ki bahut tul hai mujh se lekin
jhuk gai meri kamar zulf-e-dota se pahle
KHizr ko wadi-e-wahshat mein na rakhna tha qadam
puchh lena tha kisi aabla-pa se pahle
is bharose pe gunah karte hain 'wahbi' hum rind
rahm karti hai ata us ki KHata se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.