ishq bahut KHamosh hai ahmar bare kuchh hushiyar karen
ishq bahut KHamosh hai ahmar bare kuchh hushiyar karen
Dr. Ahmar Rifai
MORE BYDr. Ahmar Rifai
ishq bahut ḳhāmosh hai 'ahmar' baare kuchh hushiyār kareñ
ḳhūn-e-jigar ke chhīñTe de kar jashn-e-gul-o-gulzār kareñ
us kā shikva us ke hī aage kaise ham nā-chār kareñ
sūrat jis kī dekhte hī bas jī ye chāhe pyaar kareñ
razm-gah-e-ushshāq hai ye sarkār yahāñ kuchh kaar kareñ
surme kā dumbāla de kar nainoñ ko talvār kareñ
aise zulm-shiāroñ se ham kyūñkar rah hamvār kareñ
dil kī jo pūchheñ baat na ik din dil par sau sau vaar kareñ
muddat se ik aas lagī hai ham bhī kabhī dīdār kareñ
ek jhalak kī baat hī kyā hai aap agar upkār kareñ
dil ko yahī ik dhun hai lagī har sub.h-o-masā har aaTh pahar
naam japeñ har lahza un kā zikr kareñ azkār kareñ
sheva arz-guzārī kā to ishq meñ lāzim Thahrā hai
aise par nādān nahīñ ham un se aur takrār kareñ
dil par jo kuchh biit rahī hai ḳhair yahī hai dil meñ rahe
'ahmar' ye vo raaz nahīñ ki mahfil meñ bistār kareñ
ishq bahut KHamosh hai 'ahmar' bare kuchh hushiyar karen
KHun-e-jigar ke chhinTe de kar jashn-e-gul-o-gulzar karen
us ka shikwa us ke hi aage kaise hum na-chaar karen
surat jis ki dekhte hi bas ji ye chahe pyar karen
razm-gah-e-ushshaq hai ye sarkar yahan kuchh kar karen
surme ka dumbaala de kar nainon ko talwar karen
aise zulm-shiaron se hum kyunkar rah hamwar karen
dil ki jo puchhen baat na ek din dil par sau sau war karen
muddat se ek aas lagi hai hum bhi kabhi didar karen
ek jhalak ki baat hi kya hai aap agar upkar karen
dil ko yahi ek dhun hai lagi har subh-o-masa har aaTh pahar
nam japen har lahza un ka zikr karen azkar karen
shewa arz-guzari ka to ishq mein lazim Thahra hai
aise par nadan nahin hum un se aur takrar karen
dil par jo kuchh bit rahi hai KHair yahi hai dil mein rahe
'ahmar' ye wo raaz nahin ki mahfil mein bistar karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.