ishq do TukDon mein kar ke aise pura kar diya
'ishq do TukḌoñ meñ kar ke aise puurā kar diyā
ban gayā ghanshyām ḳhud aur us ko rādhā kar diyā
ḳhāmushī kī chīḳh se jab dam mirā ghuTne lagā
iztirāb-e-dil ne ik hangāma barpā kar diyā
rāstoñ kī bhiiḌ meñ ho munfarid rasta mirā
bas isī chāhat ne mujh ko aaj tanhā kar diyā
Daal rakkhā thā junūñ ne apne chehre par naqāb
'ishq ne us ko haTāyā aur tamāshā kar diyā
gardish-e-aflāk ke saa.e the mujh pe ik sitam
jab kabhī Duubā ye sūraj zaḳhm gahrā kar diyā
'ishq do TukDon mein kar ke aise pura kar diya
ban gaya ghanshyam KHud aur us ko radha kar diya
KHamushi ki chiKH se jab dam mera ghuTne laga
iztirab-e-dil ne ek hangama barpa kar diya
raston ki bhiD mein ho munfarid rasta mera
bas isi chahat ne mujh ko aaj tanha kar diya
Dal rakkha tha junun ne apne chehre par naqab
'ishq ne us ko haTaya aur tamasha kar diya
gardish-e-aflak ke sae the mujh pe ek sitam
jab kabhi Duba ye suraj zaKHm gahra kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.