ishq-e-mai husn hai saqi mere maiKHane ka
ishq-e-mai husn hai saqi mere maiKHane ka
Syed Shabbir Hassan Rizvi
MORE BYSyed Shabbir Hassan Rizvi
'ishq-e-mai husn hai saaqī mire maiḳhāne kā
pī to luuñ zarf zarā dekh luuñ paimāne kā
dil meñ aatā hai ma'an sang-e-havādis kā ḳhayāl
naam aatā hai agar shīsha-o-paimāne kā
ruḳhsat-e-sair-o-tamāshā-e-jahāñ hai kis ko
dīdanī aap hai 'ālam mire kāshāne kā
kitne hī monis-e-dard-o-ġham-o-ālām haiñ vaañ
naam bedardoñ meñ badnām hai vīrāne kā
dāstāñ soz-e-mohabbat kī kahe kaun agar
sham' kī lau na bane hausla parvāne kā
rang-o-bū se na banī ruuh kī āḳhir do din
apnā hotā hai koī kahne se begāne kā
dīdanī raqs thā dekhā na tamāshā tum ne
sho’la-e-barq pe ḳhirman ke har ik daane kā
qismat-e-ahl-e-ḳhirad jab vo tajallī hī nahīñ
kis ko batlā.eñ ki kyā ḳhvāb hai dīvāne kā
kahte kahte huā chup qissa-e-hastī 'shabbīr'
ik haqīqat ne bharam kho diyā afsāne kā
'ishq-e-mai husn hai saqi mere maiKHane ka
pi to lun zarf zara dekh lun paimane ka
dil mein aata hai ma'an sang-e-hawadis ka KHayal
nam aata hai agar shisha-o-paimane ka
ruKHsat-e-sair-o-tamasha-e-jahan hai kis ko
didani aap hai 'alam mere kashane ka
kitne hi monis-e-dard-o-gham-o-alam hain wan
nam bedardon mein badnam hai virane ka
dastan soz-e-mohabbat ki kahe kaun agar
sham' ki lau na bane hausla parwane ka
rang-o-bu se na bani ruh ki aaKHir do din
apna hota hai koi kahne se begane ka
didani raqs tha dekha na tamasha tum ne
sho’la-e-barq pe KHirman ke har ek dane ka
qismat-e-ahl-e-KHirad jab wo tajalli hi nahin
kis ko batlaen ki kya KHwab hai diwane ka
kahte kahte hua chup qissa-e-hasti 'shabbir'
ek haqiqat ne bharam kho diya afsane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.