ishq-e-majnun rast hai afsana sach
ishq-e-majnūñ raast hai afsāna sach
baat kahtā hai tirā dīvāna sach
mere ghar kyā aa.e tum aa.ī murād
ho gayā ishrat-kada ġham-ḳhāna sach
dāman-e-sāqī kahāñ dast-e-havas
be-ḳhudī hai shorish-e-rindāna sach
miT gayā ghar ghar kī hasrat rah ga.ī
qābil-e-nazzāra hai vīrāna sach
soz-e-ġham meñ hai gudāz-e-sham.a raast
ātish-e-dil se jalā parvāna sach
be-tire jalve ke dil hai be-faroġh
tū hī niklā raunaq-e-kāshāna sach
be-gumāñ lafz-e-ġhalat hai kā.enāt
hamdamī hai ma.anī-e-begāna sach
naza.a se phir zindagānī ho ga.ī
jāñ-fazā thā jalva-e-jānāna sach
aaj phir hai kyā salā-e-ām-e-mai
sub.h se vā hai dar-e-mai-ḳhāna sach
is se uḌ jaatī hai niiñd aatī huī
mere dard-e-dil kā hai afsāna sach
ho nahīñ saktā ta.attul fikr kā
mahv-e-yād-e-yār hai dīvāna sach
vo sitamgar dost niklā ġhair kā
kyoñ azīzo merā kahnā thā na sach
qatra-e-ḳhūñ se hai kyoñ dil kī umiid
naḳhl ho jā.egā kyā ye daana sach
tere bande haiñ bahut nāzuk dimāġh
bār-e-sar hai afsar-e-shāhāna sach
husn-e-taz.īn yuuñ nasīb-e-ā.ina
hasrat-e-nazzāra meñ hai shāna sach
vo samajhte haiñ fuġhān-e-zauq-e-mai
be-asar hai nāla-e-mastāna sach
kuchh yahāñ hai sāz-e-jam.iyyat 'zakī'
kahiyo ai dānish-var-e-farzāna sach
ishq-e-majnun rast hai afsana sach
baat kahta hai tera diwana sach
mere ghar kya aae tum aai murad
ho gaya ishrat-kada gham-KHana sach
daman-e-saqi kahan dast-e-hawas
be-KHudi hai shorish-e-rindana sach
miT gaya ghar ghar ki hasrat rah gai
qabil-e-nazzara hai virana sach
soz-e-gham mein hai gudaz-e-shama rast
aatish-e-dil se jala parwana sach
be-tire jalwe ke dil hai be-farogh
tu hi nikla raunaq-e-kashana sach
be-guman lafz-e-ghalat hai kaenat
hamdami hai mani-e-begana sach
naza se phir zindagani ho gai
jaan-faza tha jalwa-e-jaanana sach
aaj phir hai kya sala-e-am-e-mai
subh se wa hai dar-e-mai-KHana sach
is se uD jati hai nind aati hui
mere dard-e-dil ka hai afsana sach
ho nahin sakta tattul fikr ka
mahw-e-yaad-e-yar hai diwana sach
wo sitamgar dost nikla ghair ka
kyon azizo mera kahna tha na sach
qatra-e-KHun se hai kyon dil ki umid
naKHl ho jaega kya ye dana sach
tere bande hain bahut nazuk dimagh
bar-e-sar hai afsar-e-shahana sach
husn-e-tazin yun nasib-e-aina
hasrat-e-nazzara mein hai shana sach
wo samajhte hain fughan-e-zauq-e-mai
be-asar hai nala-e-mastana sach
kuchh yahan hai saz-e-jamiyyat 'zaki'
kahiyo ai danish-war-e-farzana sach
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.