Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ishq-e-sanam namaz hai hai yahi zindagi meri

Fana bulandshahri

ishq-e-sanam namaz hai hai yahi zindagi meri

Fana bulandshahri

MORE BYFana bulandshahri

    ishq-e-sanam namāz hai hai yahī zindagī mirī

    dil hai mirā sanam-kada diin hai merā kāfirī

    sar-ba-sujūd huuñ sanam but-kada-e-majāz meñ

    de ga.ī but-parastiyāñ terī adā-e-dilbarī

    zāhid-e-ishq se judā maz.hab-e-ishq hai mirā

    jhuknā dar-e-naqīb par mere liye hai behtarī

    mere sar-e-niyāz ko dair-o-haram kareñ salām

    mujh ko tire ḳhayāl ne baḳhshī hai vo qalandarī

    sadqe karūñ maiñ jān-o-dil yaar ke pā-e-nāz par

    hai yahī asvad-e-haram hai yahī tāj-e-khusravī

    terī nigāh-e-nāz hai merī talab aabrū

    tujh pe nisār ai sanam husn-e-butān-e-āzarī

    uTh ke tire dayār se jaa.e tirā 'fanā' kahāñ

    ka.aba-e-chashm-e-ishq hai terā jamāl ai parī

    ishq-e-sanam namaz hai hai yahi zindagi meri

    dil hai mera sanam-kada din hai mera kafiri

    sar-ba-sujud hun sanam but-kada-e-majaz mein

    de gai but-parastiyan teri ada-e-dilbari

    zahid-e-ishq se juda mazhab-e-ishq hai mera

    jhukna dar-e-naqib par mere liye hai behtari

    mere sar-e-niyaz ko dair-o-haram karen salam

    mujh ko tere KHayal ne baKHshi hai wo qalandari

    sadqe karun main jaan-o-dil yar ke pa-e-naz par

    hai yahi aswad-e-haram hai yahi taj-e-khusrawi

    teri nigah-e-naz hai meri talab ki aabru

    tujh pe nisar ai sanam husn-e-butan-e-azari

    uTh ke tere dayar se jae tera 'fana' kahan

    kaba-e-chashm-e-ishq hai tera jamal ai pari

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now