ishq gar donon jahan mein kaamran hota nahin
ishq gar donon jahan mein kaamran hota nahin
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
ishq gar donoñ jahāñ meñ kāmrāñ hotā nahīñ
ye zamīñ hotī nahīñ ye āsmāñ hotā nahīñ
jo bhaTak jaatā hai manzil se vufūr-e-shauq meñ
dar-haqīqat vo hamārā kārvāñ hotā nahīñ
ishq kahte haiñ jise ik ātish-e-ḳhāmosh hai
dil hī dil meñ jo sulagtī hai dhuāñ hotā nahīñ
sham.a par kis shaan se gir kar patange ne kahā
ishq meñ andesha-e-sūd-o-ziyāñ hotā nahīñ
ḳhauf-e-roz-e-hashr hai us ko na kuchh fikr-e-jazā
zindagī meñ jis ko marne kā gumāñ hotā nahīñ
zindagī meñ har qadam par Thokareñ khā.īñ magar
dil ke ā.īne pe aks-e-ġham ayaañ hotā nahīñ
'dard' mere ishq ne un ko numāyāñ kar diyā
varna duniyā meñ kahīñ nām-o-nishāñ hotā nahīñ
ishq gar donon jahan mein kaamran hota nahin
ye zamin hoti nahin ye aasman hota nahin
jo bhaTak jata hai manzil se wufur-e-shauq mein
dar-haqiqat wo hamara karwan hota nahin
ishq kahte hain jise ek aatish-e-KHamosh hai
dil hi dil mein jo sulagti hai dhuan hota nahin
shama par kis shan se gir kar patange ne kaha
ishq mein andesha-e-sud-o-ziyan hota nahin
KHauf-e-roz-e-hashr hai us ko na kuchh fikr-e-jaza
zindagi mein jis ko marne ka guman hota nahin
zindagi mein har qadam par Thokaren khain magar
dil ke aaine pe aks-e-gham ayan hota nahin
'dard' mere ishq ne un ko numayan kar diya
warna duniya mein kahin nam-o-nishan hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.