ishq hai humse to ye wahm guman kaise hain
'ishq hai ham se to ye vahm gumāñ kaise haiñ
phir gile shikve batā zer-e-zabāñ kaise haiñ
tum to kahte the ki sab suukh ga.e haiñ lekin
phir hameñ dekh ke ye ashk ravāñ kaise haiñ
jab raqīboñ se nahīñ hai koī rishta to batā
raah meñ phir tire qadmoñ ke nishāñ kaise haiñ
kaun zindān meñ ab mujh ko batā.e aa kar
dost kaise haiñ mire dushman-e-jāñ kaise haiñ
nukta-chīnī jo kiyā karte the har baat pe vo
shahr ke mere sabhī ahl-e-zabāñ kaise haiñ
fikr us ko hai bahut merī ḳhabar hai mujh ko
tum na kar denā bayāñ jā ke vahāñ kaise haiñ
ye na kahnā ki taḌapte haiñ tirī yādoñ meñ
vo agar pūchhe ki 'abrār' miyāñ kaise haiñ
'ishq hai hum se to ye wahm guman kaise hain
phir gile shikwe bata zer-e-zaban kaise hain
tum to kahte the ki sab sukh gae hain lekin
phir hamein dekh ke ye ashk rawan kaise hain
jab raqibon se nahin hai koi rishta to bata
rah mein phir tere qadmon ke nishan kaise hain
kaun zindan mein ab mujh ko batae aa kar
dost kaise hain mere dushman-e-jaan kaise hain
nukta-chini jo kiya karte the har baat pe wo
shahr ke mere sabhi ahl-e-zaban kaise hain
fikr us ko hai bahut meri KHabar hai mujh ko
tum na kar dena bayan ja ke wahan kaise hain
ye na kahna ki taDapte hain teri yaadon mein
wo agar puchhe ki 'abrar' miyan kaise hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.