ishq hai soz-e-darun isko na bahar rakhna
ishq hai soz-e-darūñ is ko na bāhar rakhnā
baat ho ghar kī agar ghar ke hī andar rakhnā
sach to hai ishq ho yā mushk ye chhuptā kab hai
kitnā mushkil hai nihāñ chiiz ye dam bhar rakhnā
jism-o-jāñ rakhtā huuñ āḳhir ko bashar huuñ maiñ bhī
rabt-e-ehsās mirī jaan barābar rakhnā
nāḳhudā merā nayā aur safīna ḳhasta
yā ḳhudā zer-e-sukūñ sat.h-e-samandar rakhnā
bijliyāñ kauñdne lag jā.eñgī ik aalam meñ
aaj be-parda na tum rū-e-munavvar rakhnā
taaki ḳhilqat tirī himmat kī tujhe daad to de
saaf kar ke na pas-e-qatl tū ḳhanjar rakhnā
kārgar hotī nahīñ jab koī tadbīr mirī
mujh pe lāzim nahīñ taqdīs-e-muqaddar rakhnā
ishq hai soz-e-darun is ko na bahar rakhna
baat ho ghar ki agar ghar ke hi andar rakhna
sach to hai ishq ho ya mushk ye chhupta kab hai
kitna mushkil hai nihan chiz ye dam bhar rakhna
jism-o-jaan rakhta hun aaKHir ko bashar hun main bhi
rabt-e-ehsas meri jaan barabar rakhna
naKHuda mera naya aur safina KHasta
ya KHuda zer-e-sukun sath-e-samandar rakhna
bijliyan kaundne lag jaengi ek aalam mein
aaj be-parda na tum ru-e-munawwar rakhna
taki KHilqat teri himmat ki tujhe dad to de
saf kar ke na pas-e-qatl tu KHanjar rakhna
kargar hoti nahin jab koi tadbir meri
mujh pe lazim nahin taqdis-e-muqaddar rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.