ishq ho ishq bhi jawani ka
'ishq ho 'ishq bhī javānī kā
tum asāsa ho zindagānī kā
merā dil rājdhānī hai jis par
raaj chaltā hai merī raanī kā
mujh ko rakkhā nahīñ kisī dil ne
dukh samajhtā huuñ lā-makānī kā
ġham kī kasrat se mar gayā hotā
shukr bantā hai be-dhiyānī kā
jo amar kar degā kahānī ko
tum vo kirdār ho kahānī kā
roTī kapḌe pe bole vo jis ko
aaj bhī mas.ala hai paanī kā
maiñ tujhe yaad huuñ nahīñ bhūlā
shukriya terī mehrbānī kā
'ishq ho 'ishq bhi jawani ka
tum asasa ho zindagani ka
mera dil rajdhani hai jis par
raj chalta hai meri rani ka
mujh ko rakkha nahin kisi dil ne
dukh samajhta hun la-makani ka
gham ki kasrat se mar gaya hota
shukr banta hai be-dhiyani ka
jo amar kar dega kahani ko
tum wo kirdar ho kahani ka
roTi kapDe pe bole wo jis ko
aaj bhi masala hai pani ka
main tujhe yaad hun nahin bhula
shukriya teri mehrbani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.