ishq jab had se par hota hai
'ishq jab had se paar hotā hai
tab koī be-qarār hotā hai
aañkh se aañkh miltī hai pahle
tab kahīñ jā ke pyaar hotā hai
ham to dīvāngī meñ rahte haiñ
ḳhud pe kab iḳhtiyār hotā hai
jo ye kahtā hai 'ishq mat karnā
ḳhud vo jāhil gañvār hotā hai
shukr hai 'ishq karne vāloñ meñ
ab mirā bhī shumār hotā hai
chhīn letā hai ye falak us ko
jis se dil ko qarār hotā hai
laakh vā'da kare koī 'ashraf'
ab kahāñ e’tibār hotā hai
'ishq jab had se par hota hai
tab koi be-qarar hota hai
aankh se aankh milti hai pahle
tab kahin ja ke pyar hota hai
hum to diwangi mein rahte hain
KHud pe kab iKHtiyar hota hai
jo ye kahta hai 'ishq mat karna
KHud wo jahil ganwar hota hai
shukr hai 'ishq karne walon mein
ab mera bhi shumar hota hai
chhin leta hai ye falak us ko
jis se dil ko qarar hota hai
lakh wa'da kare koi 'ashraf'
ab kahan e’tibar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.