ishq jab mange hai bas sada-dili mange hai
'ishq jab māñge hai bas sāda-dilī māñge hai
husn be-sāḳhta āshufta-sarī māñge hai
aa gayā raas zamāne ko jab andāz mirā
aa.ina bhī hunar-e-shīsha-garī māñge haiñ
sab kī qismat meñ kahāñ hotā hai ḳhush-rang hayāt
falsafa 'ishq kā lamhoñ se sadī māñge hai
dard uThtā hai to ik pal meñ taḌap jaatā hai
soḳhta dil mirā sandal kī namī māñge hai
jaan jāoge to hairānī tumheñ bhī hogī
kaun kis kis se yahāñ tishna-labī māñge hai
kahnī paḌtī hai ġhazal hasb-e-marātib us ke
qāfiya roz nayā harf-e-ravī māñge hai
gumrahī kyoñ na baḌhe had se ziyāda 'sāhil'
jo bhī nā-ahl hai vo rāhbarī māñge hai
'ishq jab mange hai bas sada-dili mange hai
husn be-saKHta aashufta-sari mange hai
aa gaya ras zamane ko jab andaz mera
aaina bhi hunar-e-shisha-gari mange hain
sab ki qismat mein kahan hota hai KHush-rang hayat
falsafa 'ishq ka lamhon se sadi mange hai
dard uThta hai to ek pal mein taDap jata hai
soKHta dil mera sandal ki nami mange hai
jaan jaoge to hairani tumhein bhi hogi
kaun kis kis se yahan tishna-labi mange hai
kahni paDti hai ghazal hasb-e-maraatib us ke
qafiya roz naya harf-e-rawi mange hai
gumrahi kyon na baDhe had se ziyaada 'sahil'
jo bhi na-ahl hai wo rahbari mange hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.