ishq jab se azab ho gaya hai
ishq jab se azaab ho gayā hai
dil kā ḳhāna-ḳharāb ho gayā hai
mujh ko fursat nahīñ hai paḌhne kī
us kā chehra kitāb ho gayā hai
pūchh mat us ke lams kā nashsha
jism saarā sharāb ho gayā hai
dhuup niklī huī hai chāroñ taraf
kaun ye be-hijāb ho gayā hai
apne hisse meñ raat kyā aa.ī
har koī āftāb ho gayā hai
ishq jis se huā mujhe 'ḳhālid'
vo kalī se gulāb ho gayā hai
ishq jab se azab ho gaya hai
dil ka KHana-KHarab ho gaya hai
mujh ko fursat nahin hai paDhne ki
us ka chehra kitab ho gaya hai
puchh mat us ke lams ka nashsha
jism sara sharab ho gaya hai
dhup nikli hui hai chaaron taraf
kaun ye be-hijab ho gaya hai
apne hisse mein raat kya aai
har koi aaftab ho gaya hai
ishq jis se hua mujhe 'KHalid'
wo kali se gulab ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.