ishq ka bhaw aise baDhati ghazal
ishq kā bhaav aise baḌhātī ġhazal
haath aatī nahīñ bhaav khātī ġhazal
mere har sher meñ aap kā zikr hai
mere har sher meñ muskurātī ġhazal
mere dil ke mahalle kī zīnat banī
roz aatī ġhazal roz jaatī ġhazal
tum hī māshūq ho tum hī mahbūb ho
tum hī jān-e-ġhazal ho batātī ġhazal
har zamāne meñ khaTkī zamāne ko ye
har zamāne ko āñkheñ dikhātī ġhazal
zindagī meñ mirī raushnī ke liye
chāñd ban kar mirī chhat pe aatī ġhazal
ishq meñ is ke majnūñ haiñ 'ġhālib' bhī haiñ
kyā se kyā aadmī ko banātī ġhazal
tab kahīñ jā ke aatā ġhazal meñ nikhār
ḳhūn-e-dil jab kisī ko rulātī ġhazal
ye ġhazal-goī āsān hargiz nahīñ
haath mushkil se 'rāshid' ye aatī ġhazal
ishq ka bhaw aise baDhati ghazal
hath aati nahin bhaw khati ghazal
mere har sher mein aap ka zikr hai
mere har sher mein muskuraati ghazal
mere dil ke mahalle ki zinat bani
roz aati ghazal roz jati ghazal
tum hi mashuq ho tum hi mahbub ho
tum hi jaan-e-ghazal ho batati ghazal
har zamane mein khaTki zamane ko ye
har zamane ko aankhen dikhati ghazal
zindagi mein meri raushni ke liye
chand ban kar meri chhat pe aati ghazal
ishq mein is ke majnun hain 'ghaalib' bhi hain
kya se kya aadmi ko banati ghazal
tab kahin ja ke aata ghazal mein nikhaar
KHun-e-dil jab kisi ko rulati ghazal
ye ghazal-goi aasan hargiz nahin
hath mushkil se 'rashid' ye aati ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.