ishq ka ghaw jaan mein rakh kar bhul gai
ishq kā ghaav jaan meñ rakh kar bhuul ga.ī
ḳhud ko ātish-dān meñ rakh kar bhuul ga.ī
nargis ke do phuul uThā kar pheñk diye
aur āñkheñ gul-dān meñ rakh kar bhuul ga.ī
kuchh aañsū to āñkhoñ meñ chhup jaate haiñ
kuchh aañsū muskān meñ rakh kar bhuul ga.ī
ghoñsla thā aur shoḳh havā kī Thokar thī
tinke meñ tūfān meñ rakh kar bhuul ga.ī
jis kī ḳhātir shā.irī kartī rahtī thī
ab us ko dīvān meñ rakh kar bhuul ga.ī
kamre meñ kuchh saa.e nāchte rahte haiñ
sūraj raushan-dān meñ rakh kar bhuul ga.ī
kyā khoyā kyā paayā kuchh mat pūchh sakhī
jīvan ik hizyān meñ rakh kar bhuul ga.ī
sāñsoñ kī mazdūrī meñ jo ishq milā
ik shāhī farmān meñ rakh kar bhuul ga.ī
jaltī dhuup meñ chāñd kā tohfa kyā kartī
shāyad maiñ dālān meñ rakh kar bhuul ga.ī
sūraj chāñd bhī jā kar lauT hī aate haiñ
umr isī imkān meñ rakh kar bhuul ga.ī
phuul se rishte pattī pattī bikhre the
patjhaḌ-rut sāmān meñ rakh kar bhuul ga.ī
is lahje kī os meñ jo āñchal bhīgā
ik TuuTe paimān meñ rakh kar bhuul ga.ī
aaj 'sahar' in do hañstī huī āñkhoñ ko
yādoñ ke juzdān meñ rakh kar bhuul ga.ī
ishq ka ghaw jaan mein rakh kar bhul gai
KHud ko aatish-dan mein rakh kar bhul gai
nargis ke do phul uTha kar phenk diye
aur aankhen gul-dan mein rakh kar bhul gai
kuchh aansu to aankhon mein chhup jate hain
kuchh aansu muskan mein rakh kar bhul gai
ghonsla tha aur shoKH hawa ki Thokar thi
tinke mein tufan mein rakh kar bhul gai
jis ki KHatir shairi karti rahti thi
ab us ko diwan mein rakh kar bhul gai
kamre mein kuchh sae nachte rahte hain
suraj raushan-dan mein rakh kar bhul gai
kya khoya kya paya kuchh mat puchh sakhi
jiwan ek hizyan mein rakh kar bhul gai
sanson ki mazduri mein jo ishq mila
ek shahi farman mein rakh kar bhul gai
jalti dhup mein chand ka tohfa kya karti
shayad main dalan mein rakh kar bhul gai
suraj chand bhi ja kar lauT hi aate hain
umr isi imkan mein rakh kar bhul gai
phul se rishte patti patti bikhre the
patjhaD-rut saman mein rakh kar bhul gai
is lahje ki os mein jo aanchal bhiga
ek TuTe paiman mein rakh kar bhul gai
aaj 'sahar' in do hansti hui aankhon ko
yaadon ke juzdan mein rakh kar bhul gai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.