ishq ka jazba-e-bedar baDa kaam aaya
ishq kā jazba-e-bedār baḌā kaam aaya
be-ḳhudī meñ bhī mire lab pe tirā naam aaya
dil thā bechain bahut dard kī pahnā.ī meñ
ham ko bas un ke tasavvur hī se ārām aaya
jhilmilā uTThe sitāre se mirī palkoñ par
jaam yādoñ kā jo gardish meñ sar-e-shām aaya
zulf se uTThī ghaTā chashm se barsī mastī
sāqī-e-bazm nazākat se liye jaam aaya
jab bhī saaqī kī nazar bazm meñ uTThī 'shabnam'
na ḳhirad aa.ī kisī ke na junūñ kaam aaya
ishq ka jazba-e-bedar baDa kaam aaya
be-KHudi mein bhi mere lab pe tera nam aaya
dil tha bechain bahut dard ki pahnai mein
hum ko bas un ke tasawwur hi se aaram aaya
jhilmila uTThe sitare se meri palkon par
jam yaadon ka jo gardish mein sar-e-sham aaya
zulf se uTThi ghaTa chashm se barsi masti
saqi-e-bazm nazakat se liye jam aaya
jab bhi saqi ki nazar bazm mein uTThi 'shabnam'
na KHirad aai kisi ke na junun kaam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.