ishq ka kaam baKHt-sazi hai
ishq ka kaam baKHt-sazi hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
ishq kā kaam baḳht-sāzī hai
is kī har baat imtiyāzī hai
dil-gudāzī-e-ġham kā ġham kyā ho
ġham kī fitrat hī dil-gudāzī hai
har qadam par ye kasrat-e-jalva
ehtimām-e-nazar-navāzī hai
jis ko kahte haiñ inqalāb-e-hayāt
ik junūñ kī karishma-sāzī hai
us meñ kyā aa.e bū haqīqat kī
jo majāzī hai vo majāzī hai
laakh armāñ sahī magar ai dil
ishq-bāzī phir ishq-bāzī hai
sach to ye hai ki ik baḌī ne.amat
nigah-o-dil kī pāk-bāzī hai
rang yā husn kī haqīqat kyā
sab nazar kī fusūñ-tarāzī hai
faiz-e-'iqbāl' hai jo 'manshā' kā
naġhma hindī hai lai hijāzī hai
ishq ka kaam baKHt-sazi hai
is ki har baat imtiyazi hai
dil-gudazi-e-gham ka gham kya ho
gham ki fitrat hi dil-gudazi hai
har qadam par ye kasrat-e-jalwa
ehtimam-e-nazar-nawazi hai
jis ko kahte hain inqalab-e-hayat
ek junun ki karishma-sazi hai
us mein kya aae bu haqiqat ki
jo majazi hai wo majazi hai
lakh arman sahi magar ai dil
ishq-bazi phir ishq-bazi hai
sach to ye hai ki ek baDi neamat
nigah-o-dil ki pak-bazi hai
rang ya husn ki haqiqat kya
sab nazar ki fusun-taraazi hai
faiz-e-'iqbaal' hai jo 'mansha' ka
naghma hindi hai lai hijazi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.