ishq ka khel ba-har-haal gawara hota
ishq kā khel ba-har-hāl gavārā hotā
tum na hote to koī aur hamārā hotā
ḳhuub chamkā thā sar-e-arsh magar Duub gayā
kaash sūraj ko bhī tinke kā sahārā hotā
paal hī rakkhī thī jab daulat-e-duniyā kī havas
kaise phir sabr-o-qanā.at pe guzāra hotā
us ko maiñ hijr kā unvān banā kar paḌhtā
nāma-e-ishq meñ halkā sā ishāra hotā
kaise aadam yahāñ iblīs bhī sajde kartā
nā.eb-allāh kā gar jag meñ ijāra hotā
tañg-dāmāñ hī sahī dil to kushāda rakhtā
bahtā dariyā na sahī kaash kināra hotā
is bahāne se maiñ kuchh ḳhvāb sunahre kartā
kam se kam shahr meñ tum sā koī pyārā hotā
phir yahāñ sab hī mire chāhne vaale nikle
is bhare shahr meñ koī to hamārā hotā
ek ik kar ke sabhī chhoḌ chale maqtal ko
aise hālāt meñ qātil ko pukārā hotā
bah ga.e ham bhī bilā-vaj.h anā kī rau meñ
aur kuchh din tire kūche meñ guzāra hotā
ishq ka khel ba-har-haal gawara hota
tum na hote to koi aur hamara hota
KHub chamka tha sar-e-arsh magar Dub gaya
kash suraj ko bhi tinke ka sahaara hota
pal hi rakkhi thi jab daulat-e-duniya ki hawas
kaise phir sabr-o-qanaat pe guzara hota
us ko main hijr ka unwan bana kar paDhta
nama-e-ishq mein halka sa ishaara hota
kaise aadam yahan iblis bhi sajde karta
naeb-allah ka gar jag mein ijara hota
tang-daman hi sahi dil to kushada rakhta
bahta dariya na sahi kash kinara hota
is bahane se main kuchh KHwab sunahre karta
kam se kam shahr mein tum sa koi pyara hota
phir yahan sab hi mere chahne wale nikle
is bhare shahr mein koi to hamara hota
ek ek kar ke sabhi chhoD chale maqtal ko
aise haalat mein qatil ko pukara hota
bah gae hum bhi bila-wajh ana ki rau mein
aur kuchh din tere kuche mein guzara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.