ishq ka kuchh bhi na anjam tu ai dil samjha
ishq ka kuchh bhi na anjam tu ai dil samjha
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
ishq kā kuchh bhī na anjām tū ai dil samjhā
pahle āsān thā kyā ab jise mushkil samjhā
be-hijāb un ko shab-e-vasl jo dekhā maiñ ne
chāñd se chehre ko rashk-e-mah-e-kāmil samjhā
diq hai vo jaan mirī ishq kī bīmārī se
ki hakīmoñ ne bhī jis ko maraz-e-sil samjhā
bhaveñ hūroñ kī nazar aa.iiñ mujhe talvāreñ
bāġh-e-jannat ko bhī maiñ kūcha-e-qātil samjhā
zarra dekhā jo kabhī muttasil-e-mahr-e-falak
maiñ ne qurb-e-ruḳh-e-pur-nūr-e-sanam til samjhā
bahr-e-taslīm-o-razā ham ne jhukā dī gardan
haa.e afsos ki is par bhī na qātil samjhā
tū nahīñ par tirā jalva to hai mere dil meñ
phir mujhe duur bhalā kyoñ mah-e-kāmil samjhā
ruḳh dikhā kar mujhe kyā dhoke diye qurāñ ke
haath gardan meñ jo Daale maiñ hamā.il samjhā
jab se dīvāna tirī zulf-e-musalsal kā huā
jis ne dekhā mujhe mānind-e-salāsil samjhā
jhelīñ taklīfeñ bahut ishq kī tū ne 'shaidā'
ab na honā kisī be-rahm pe maa.il samjhā
ishq ka kuchh bhi na anjam tu ai dil samjha
pahle aasan tha kya ab jise mushkil samjha
be-hijab un ko shab-e-wasl jo dekha main ne
chand se chehre ko rashk-e-mah-e-kaamil samjha
diq hai wo jaan meri ishq ki bimari se
ki hakimon ne bhi jis ko maraz-e-sil samjha
bhawen huron ki nazar aain mujhe talwaren
bagh-e-jannat ko bhi main kucha-e-qatil samjha
zarra dekha jo kabhi muttasil-e-mahr-e-falak
main ne qurb-e-ruKH-e-pur-nur-e-sanam til samjha
bahr-e-taslim-o-raza hum ne jhuka di gardan
hae afsos ki is par bhi na qatil samjha
tu nahin par tera jalwa to hai mere dil mein
phir mujhe dur bhala kyon mah-e-kaamil samjha
ruKH dikha kar mujhe kya dhoke diye quran ke
hath gardan mein jo Dale main hamail samjha
jab se diwana teri zulf-e-musalsal ka hua
jis ne dekha mujhe manind-e-salasil samjha
jhelin taklifen bahut ishq ki tu ne 'shaida'
ab na hona kisi be-rahm pe mail samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.