ishq ka masud ye anjam hai
ishq kā 'mas.ūd' ye anjām hai
maiñ huuñ dil hai hasrat-e-nākām hai
pūchhte kyā ho ki ab kyā kaam hai
mashġhala aahoñ kā sub.h-o-shām hai
maiñ huuñ aur vo sāqī-e-gulfām hai
mai hai gulshan hai subū hai jaam hai
mar ke hijr-e-yār meñ paayā sukūñ
ab to bas ārām hī ārām hai
shām-e-furqat hai javāb-e-sub.h-e-hashr
jāñ-sitāñ ab durd-e-mai-āshām hai
us ke kūche meñ liye jaatā hai phir
kaisā dīvāna dil-e-nākām hai
dekhiye un kā taġhāful to zarā
pūchhte haiñ aap kā kyā naam hai
qaid-o-bandish hai hamāre vāste
varna is mahfil meñ izn-e-ām hai
is suḳhan-sanjī se ai 'mas.ūd' aaj
dahr meñ mash.hūr terā naam hai
ishq ka 'masud' ye anjam hai
main hun dil hai hasrat-e-nakaam hai
puchhte kya ho ki ab kya kaam hai
mashghala aahon ka subh-o-sham hai
main hun aur wo saqi-e-gulfam hai
mai hai gulshan hai subu hai jam hai
mar ke hijr-e-yar mein paya sukun
ab to bas aaram hi aaram hai
sham-e-furqat hai jawab-e-subh-e-hashr
jaan-sitan ab durd-e-mai-asham hai
us ke kuche mein liye jata hai phir
kaisa diwana dil-e-nakaam hai
dekhiye un ka taghaful to zara
puchhte hain aap ka kya nam hai
qaid-o-bandish hai hamare waste
warna is mahfil mein izn-e-am hai
is suKHan-sanji se ai 'masud' aaj
dahr mein mashhur tera nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.