ishq ka nazdik-e-manzil karwan hone ko hai
'ishq kā nazdīk-e-manzil kārvāñ hone ko hai
yā'nī merī ḳhatm saarī dāstāñ hone ko hai
dil dhaḌak uTThā hai merā jaane kis kī yaad meñ
sun liyā hai jashn-e-yād-e-raftagāñ hone ko hai
terā inkār-e-shab-e-vā'da ai hamdam bil-yaqīñ
merī ḳhātir bā'is-e-dard-e-nihāñ hone ko hai
us ne dekhā hai kuchh is andāz se merī taraf
baḌh ke betābī-e-dil āh-o-fuġhāñ hone ko hai
ro chukā saarā zamāna jab hamāre haal par
aap kī chashm-e-karam tab mehrbāñ hone ko hai
us ke sajdoñ meñ nahīñ miltā ḳhulūs-e-bandagī
is liye zāhid kī mehnat rā.egāñ hone ko hai
'ishq ka nazdik-e-manzil karwan hone ko hai
ya'ni meri KHatm sari dastan hone ko hai
dil dhaDak uTTha hai mera jaane kis ki yaad mein
sun liya hai jashn-e-yaad-e-raftagan hone ko hai
tera inkar-e-shab-e-wa'da ai hamdam bil-yaqin
meri KHatir ba'is-e-dard-e-nihan hone ko hai
us ne dekha hai kuchh is andaz se meri taraf
baDh ke betabi-e-dil aah-o-fughan hone ko hai
ro chuka sara zamana jab hamare haal par
aap ki chashm-e-karam tab mehrban hone ko hai
us ke sajdon mein nahin milta KHulus-e-bandagi
is liye zahid ki mehnat raegan hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.