ishq ka phul to sahra mein khila karta hai
ishq kā phuul to sahrā meñ khilā kartā hai
ek ik zarra jahāñ rashk-o-duā kartā hai
ye burā vaqt hī nāzil huā sar par varna
apne ḳhvāboñ se bhalā koī Darā kartā hai
zaḳhm pal bhar kā davā roz duā barsoñ tak
yuuñ ilāj-e-ġham-e-mahbūb huā kartā hai
dil ko sahrā diyā āñkhoñ ko samundar baḳhshā
sho.abde aise vo dam-bāz kiyā kartā hai
ḳhud ko tanhā na samajh jaam uThā le 'zāhid'
aisā sāthī to muqaddar se milā kartā hai
ishq ka phul to sahra mein khila karta hai
ek ek zarra jahan rashk-o-dua karta hai
ye bura waqt hi nazil hua sar par warna
apne KHwabon se bhala koi Dara karta hai
zaKHm pal bhar ka dawa roz dua barson tak
yun ilaj-e-gham-e-mahbub hua karta hai
dil ko sahra diya aankhon ko samundar baKHsha
shoabde aise wo dam-baz kiya karta hai
KHud ko tanha na samajh jam uTha le 'zahid'
aisa sathi to muqaddar se mila karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.