ishq ka rog jo laga hai mujhe
ishq kā rog jo lagā hai mujhe
soch meñ huuñ ki kyā huā hai mujhe
phir koī kaam aa paḌā hai kyā
muddatoñ baa'd vo milā hai mujhe
jāntā hī nahīñ thā jaise kabhī
ajnabī ban ke yuuñ milā hai mujhe
bol kar jhuuT be-shumār tū kyoñ
phir tamāshā banā rahā hai mujhe
kyā mirā jāgne lagā hai nasīb
kyā madīne bulā liyā hai mujhe
Dor meñ rābte kī bāñdh gayā
ek 'unvān mil gayā hai mujhe
us ke lahje kī talḳhiyāñ 'shamsa'
tiir siine meñ aa lagā hai mujhe
ishq ka rog jo laga hai mujhe
soch mein hun ki kya hua hai mujhe
phir koi kaam aa paDa hai kya
muddaton ba'd wo mila hai mujhe
jaanta hi nahin tha jaise kabhi
ajnabi ban ke yun mila hai mujhe
bol kar jhuT be-shumar tu kyon
phir tamasha bana raha hai mujhe
kya mera jagne laga hai nasib
kya madine bula liya hai mujhe
Dor mein rabte ki bandh gaya
ek 'unwan mil gaya hai mujhe
us ke lahje ki talKHiyan 'shamsa'
tir sine mein aa laga hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.