ishq ka talluq hai is qadar zamane se
'ishq kā ta'alluq hai is qadar zamāne se
jis qadar haqīqat kā rabt hai fasāne se
'ishq rang laatā hai dil pe choT khāne se
aag ye chamaktī hai aur bhī dabāne se
aarzū kī shiddat ne dil pe kar diyā jaadū
gūñjte haiñ kānoñ meñ an-sune tarāne se
laakh naav TuuTī ho laakh saḳht tūfāñ ho
Dūbtā hai insāñ to dil ke Duub jaane se
ai chaman ke matavālo kuchh ḳhabar bhī hai tum ko
gulsitāñ tak aa pahuñchī aag āshiyāne se
āñdhiyāñ bhī uThtī haiñ bijliyāñ bhī girtī haiñ
baaz rah nahīñ sakte phuul muskurāne se
dard ko samajhtā hai koī dard vaalā hī
tiir kyā hai ye pūchho tiir ke nishāne se
aadmī kī majbūrī kuchh na pūchho ai 'rā'nā'
be-ruḳhī barat.tī hai maut bhī bulāne se
'ishq ka ta'alluq hai is qadar zamane se
jis qadar haqiqat ka rabt hai fasane se
'ishq rang lata hai dil pe choT khane se
aag ye chamakti hai aur bhi dabane se
aarzu ki shiddat ne dil pe kar diya jadu
gunjte hain kanon mein an-sune tarane se
lakh naw TuTi ho lakh saKHt tufan ho
Dubta hai insan to dil ke Dub jaane se
ai chaman ke matawalo kuchh KHabar bhi hai tum ko
gulsitan tak aa pahunchi aag aashiyane se
aandhiyan bhi uThti hain bijliyan bhi girti hain
baz rah nahin sakte phul muskurane se
dard ko samajhta hai koi dard wala hi
tir kya hai ye puchho tir ke nishane se
aadmi ki majburi kuchh na puchho ai 'ra'na'
be-ruKHi baratti hai maut bhi bulane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.